tum hum donon ki mushtarka mohabbat the lekin bichhadne ke liye tum ne aise mausam ka intikhab kiya jab tanhai jismon mein ghaar banae baithi thi aasman parindon se khali tha aur aansu tak khushk ho chuke the is bad-numa subh ka zaiqa abhi tak mere talu se chimta hai jab tumhaari maut ki khabar ne dil ko aisi udasi se bhar diya tha jise jhelne ke liye ek wajud thoda pad jata hai tab main ne pahli bar use gale lagane ka socha tha jo ab kahin bhi nahin hai shayad mushtarka mohabbaten bhi kuchh logon ko rokne ke liye kafi nahin hotin