aao lawn mein baithen sham ka suraj dekhen zard khizan ki sargam se ji ko bahlaen jangal ko ek git sunain surkh sunahre ped se girte dard ke patte hath mein le kar un ki rekhaon ko dekhen patton ko chutki mein ghumaen apne apne hath ki donon padhen lakiren ek duje ki aankhon ki gahrai mein utren phul saje hain jo gul-dan mein mez ke upar un ko chumen dudh ke jaise ujle cupon mein ketli se tum chae undelo bina shakar aur bina dudh ki chae sunahri achchhi lagti hai jab pyar ki baat karen mazi ke qisse dohraen hanste hanste aankhon mein aansu aa jaen in baaton se chae mithi ho jati hai aao lawn mein baithen chini chae piyen hum