gum-shuda khwab shab-e-rafta ke raushan mahtab aaj ki raat sar-e-baam utar aae hain gum-shuda chehre mere mazi ke zarrin auraq ek ek kar ke sar-e-am khule jate hain mujh se kuchh kahti hain khamosh nigahen un ki un ki aankhon mein abhi tak hai wafa ki tanwir un ke mathe pe abhi tak hai wahi tabani in ke pairon mein nahin umr-e-rawan ki zanjir un se duniya ko badalne ki qasam khai thi un se ab aankh milate hue sharm aati hai