tum hijrat ka karb nahin jaante tum ne 'intizar-husain' ke afsane nahin padhe 'nasir'-kazmi' ke ashaar mein chhupe hue nauhe nahin sune jo hindostan ko bante dekha hota gharon ko jalte dekha hota ismaten lutti gardanen katti zindagi bikharti dekhi hoti to shayad tum hijrat ka karb jaan lete fast-food ke shauqin apne haal mein gum tumhaara koi mazhab koi nazriya nahin hai pet ki bhuk se jins ki aasudgi tak haiwani fitrat is hijrat ke dard ko kaise mahsus kar sakti hai