ye bahut rulati hai raat-bhar jagati hai chain lene deti hai aur na rone deti hai yun to ek muddat se tum se hum hain begana sath chalte rahne ka na to koi wada hai phir bhi dil mein jaane kyun ek khalish si rahti hai dil mein ye khayal aksar aa ke thahar jata hai sath sath chalte hum zindagi ke raston par har safar hansi hota tum jo mere sath hote lekin ai mere rahbar ab to khauf us ka hai khwab mein jo aae tum aur be-khayali mein nam jo liya hum ne sab hi chaunk jaenge mustaqil sawalon se la-jawab kar denge is liye mere jaana wasl ki jo khwahish hai is ko bhul jati hun aur tumhaari yaadon se ab widaa leti hun