main sarapa ishq meri jaan ke darpai hai sabhi kuchh mere andar aur bahar aslahon ki garm-bazari hai har su ye hilal-e-nau kisi ke hijr ka khanjar hai shayad ye ghadi diwar ki har lamha mujh ko katti hai yaad ki barchhi mere sine pe hamla-zan hai har dam intizar aisa sulagta hai mere atraf-e-jaan mein aatishin-barud ka jalta hua ho dher jaise meri sanson mein kisi ki be-rukhi ki aariyan si chal rahi hain meri dhadkan ki tadap mein raqs-e-bismil ka saman hai jaise dil par bewafai ki chhuri pheri gai ho jab bhi purwai chale to aisa lagta hai ki topon ke dahane khul gae hain main sarapa ishq meri jaan ke darpai hai sabhi kuchh