hindu muslim bhed mita sab se apni yari rakh chahe apni jaan ganwa aan watan ki pyari rakh dushman se bhi yari rakh aisi bhi dildari rakh mayusi se mat ghabra koshish apni jari rakh pahle deni farz nibha pichhe duniya-dari rakh dur safar par jaana hai chalne ki tayyari rakh khote sikke mat apna aankhon mein bedari rakh thonk-baja kar sab ko dekh itni to hushyari rakh tere kaam ye aaengi baaten dhyan mein sari rakh chahe jitne dip jala ek gali andhiyari rakh 'nur' ghazal ke phul khila mashq-e-sukhan ko jari rakh lafzon ko gul-e-rez bana nazm-o-ghazal meyari rakh