yahi sab kuchh hai agar thahri hui gahri nazar se dekho be-sabab aankh se bahti hui ashkon ki qatar kapkapate hue honton ka sukut jism ke tund mah-o-sal zamane ki jhulasti hui dopahar mein sae ke sulagte andam sans ki lahr se larza hua zulfon ka hisar raqs karti hui khwahish se chhalakte hue zard ayyam tamam man lete hain ki ye waqt badalte lahje ab bhi eajaz dikha sakte hain ye masihai ka jhuriyon bhara chehra ab bhi muskurahat ke liye tazgi chun sakta hai ye guzishta ka fusun-bakht hawale ab bhi waqt ki nabz thama sakte hain lekin aisa hai ki jab dhadkanen ghunghru ban jaen khwahishen raqs kiya karti hain sukun ki jhanak bolti hai thartharaate hue jismon se hawason ka dhuan uthta hai ishtiha aag jana karti hai bhuk ifrit hai wahshat hai badi aafat hai bhuk khamyaza-e-jaan-o-tan hai be-par-o-baal kiya karti hai waqt ki tal ko be-tal kiya karti hai bhuk aasab-e-shikasta ki khuli baiat hai ye khad-o-khal kuchal deti hai tahzib ke reshon ko masal deti hai aur sarmaya-parasti ke sunahre ayyam gird-e-rukhsar shab-o-roz pe mil jate hain sina-e-khak ko dahlata hua sur-e-falak mutmain khak-nashinon ke liye roz hi roz wigha lata hai aur shab-o-roz mah-o-sal mein dhal jate hain yahi sab kuchh hai agar thahri hui gahri nazar se dekho surkhi-e-chashm kahin pahlu-e-be-tab kahin be-karan bahen kahin lams kahin khwab kahin lahariya pardon se chhanti hui shamon ka nasha jism sahlati hui raat ka nam besh na kam