ek din thaka-manda ek sham be-mani ek raat hairan si mere sath ye tinon mere ghar mein rahte hain ek dusre se kam apne aap se hum log baat karte rahte hain uljhe suljhe lamhon ki waqt chadaren bun kar hum ko dhanp deta hai dekhta nahin mud kar jald jald katta hai hum jo dekhna chahen wo nazar churaata hai ek phul sa bachcha be-khabar nidar sachcha mere ghar ke kamron mein aa ke ghul machata hai munjamid khamoshi ko todti hansi us ki is tarah bikharti hai jaise thahre pani mein koi kankari phenke aks jhum jhum utthe mauj mauj lahrae ek din thaka-manda jag jag jata hai ek sham be-mani harf harf sajti hai ek raat hairan si aankh mund leti hai