kaise matam karun kaise nauhe likhun kaise ruhon ki chikhon se nazmen bunun jagti bain karti hawaon se ja kar lipat jaun kya kirchi kirchi ye khwabon ke aaza jo bikhre pade hain unhen dekh kar phir palat jaun kya apne aqdar se qaul-o-iqrar se pichhe hat jaun kya mujh ko iqrar hai main ne khwabon mein bichhde kai khwab-chehre likhe hi nahin main ne hathon mein pakde kisi hath ke khauf likhe nahin main ne aankhon se bahte lahu-rang ko lal likkha nahin main ne ab tak kisi kokh virani ka haal likkha nahin kyun ye wahshi qalam mere wijdan mein nazm bota nahin mere ilham se ye jo lipta hua khauf ka aks hai kyun ye sota nahin ab koi hadisa ho bhi jae agar to bhi hota nahin nazm likkhun magar ab mere shahr mein nazm likhne pe koi bhi rota nahin