mutthi bhar khak se zist ka saman ret ke tude par shishe ka makan jo ban jae to makinon ke dhadakte dil khauf se larza-o-hirasan rahen har pal ki purab se aai aandhi ya pachchhim se patthar ki zarb chahaar-jaanib changez-o-halaku ke ja-nashin amn-o-shanti ke pardon mein halakat ki baaten jin se laraz jaen pahadon ke parat kamzor hath duaon ke liye uthte hue nai tahzib mein khud ko tanha dekh kar ki purab se aai aandhi ya pachchhim se patthar ki zarb mutthi bhar khak se zist ka saman ret ke tude par shishe ka makan