ek shahr tha ek bagh tha ek shahr tha ya taza mewon se lada ek bagh tha ek bagh tha ya shokh rangon se bhara bazar tha bazar tha ya jugnuon ki raushni se khelti ek raat thi ek raat thi ya gungunati jhumti naghmat ki barish mein bhigi wasl ki saughat thi ek shahr tha ek bagh tha ek raat thi aur un ke daman mein bahaar-e-wasl ki saughat thi ek roz rang-o-nur ke mausam ko baad-e-shart uda kar le gai ek mauj-e-khun kahiye use us shahr ke us bagh ke nam-o-nishan sare baha kar le gai ai nauhagar ai raqim-e-afsana-e-zer-o-zabar ai chashm-e-hairat chashm-e-tar ibrat ki ja hai kis qadar ab yaad ka hai ek afsurda nagar is shahr mein kuchh der ko thahren zara nauha karen qissa likhen tarikh ke auraq mein ek bab kholen yaad ka taqdir-e-hast-o-bud ka maghmum afsana likhen