ek khwab se jab tum dusre khwab mein qadam rakho to ye khayal rahe ek zamin tumhaare andar bhi apne liye zamin bana chuki hai jis par hazaron nannhi nannhi duaon ki baaliyan phutengi tum un duaon ki zaban samajhna un lafzon ko sunna jinhen tum ne safar ke guzishta marhale mein idhar udhar ghuma diya tha ye duniya mahz ek fasle ka nam hai aur tumhaare panw bahut chhote hain zara mud kar dekho tum apne khuda ko kahan chhod aai ho tumhaari namazon ka nur kahan rah gaya hai dekho hamare ma-bain ek daldal hai aur is daldal mein ek chand phansa hua hai jo tumhaare qadam nap raha hai