ek tha raja

purane zamane mein tha ek raja
ye raja tha bigda hua ek baja

satata tha sab ko daraata tha sab ko
wo ghusse mein ghunse dikhata tha sab ko

yunhi aate jaton se takrar karta
hawa par bhi talwar se war karta

suno ab maze ki sunaen kahani
chhaparkhat pe baithi thi raja ki rani

ki itne mein ek nannhi munni si chidiya
liye chonch mein ek chhota sa tinka

wo udti hui aai kamre ke andar
aur aa baithi rani ke bilkul barabar

ye dekha to raja ne tyori chadhai
utha aur ghusse mein tali bajai

diya hukm faujon ka salar aae
police aa ke chidiya pe goli chalae

na bach kar kahin jaane pae ye chidiya
saza bhul ki apni pae ye chidiya

usi waqt faujon ka salar aaya
para aa ke faujon ka us ne jamaya

police le ke talwar aur tir aai
hui nannhi chidiya pe puri chadhai

magar nannhi chidiya thi himmat ki aali
diya us ne dushman ka har war khali

atari pe ja baithi ud kar wahan se
na roke ruki tir se aur kaman se

wahan ja ke nannhi si gardan ghumai
hansi goya raja ki us ne udai

ye dekha to chillaya ghusse mein raja
baja khub bigda hua aaj baja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close