shahr ki raat aur main nashad o nakara phirun jagmagati jagti sadkon pe aawara phirun ghair ki basti hai kab tak dar-ba-dar mara phirun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun jhilmilate qumqumon ki rah mein zanjir si raat ke hathon mein din ki mohni taswir si mere sine par magar rakhi hui shamshir si ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ye rupahli chhanw ye aakash par taron ka jal jaise sufi ka tasawwur jaise aashiq ka khayal aah lekin kaun jaane kaun samjhe ji ka haal ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun phir wo tuta ek sitara phir wo chhuti phul-jadi jaane kis ki god mein aai ye moti ki ladi huk si sine mein utthi chot si dil par padi ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun raat hans hans kar ye kahti hai ki mai-khane mein chal phir kisi shahnaz-e-lala-rukh ke kashane mein chal ye nahin mumkin to phir ai dost virane mein chal ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun har taraf bikhri hui ranginiyan ranaiyan har qadam par ishraten leti hui angdaiyan badh rahi hain god phailae hue ruswaiyan ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun raste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahin laut kar wapas chala jaun meri fitrat nahin aur koi ham-nawa mil jae ye qismat nahin ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun muntazir hai ek tufan-e-bala mere liye ab bhi jaane kitne darwaze hain wa mere liye par musibat hai mera ahd-e-wafa mere liye ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ji mein aata hai ki ab ahd-e-wafa bhi tod dun un ko pa sakta hun main ye aasra bhi tod dun han munasib hai ye zanjir-e-hawa bhi tod dun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ek mahal ki aad se nikla wo pila mahtab jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab jaise muflis ki jawani jaise bewa ka shabab ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun dil mein ek shoala bhadak uttha hai aakhir kya karun mera paimana chhalak uttha hai aakhir kya karun zakhm sine ka mahak uttha hai aakhir kya karun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun ji mein aata hai ye murda chand tare noch lun is kinare noch lun aur us kinare noch lun ek do ka zikr kya sare ke sare noch lun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun muflisi aur ye mazahir hain nazar ke samne saikdon sultan-e-jabir hain nazar ke samne saikdon changez o nadir hain nazar ke samne ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun le ke ek changez ke hathon se khanjar tod dun taj par us ke damakta hai jo patthar tod dun koi tode ya na tode main hi badh kar tod dun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun badh ke us indar sabha ka saz o saman phunk dun us ka gulshan phunk dun us ka shabistan phunk dun takht-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phunk dun ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun