ek viran si khamoshi mein koi saya sa sarsaraata hai gham ki sunsan kali raaton mein dur ek dip timtimata hai goya tere mariz-e-ulfat ka sans sine mein tham ke aata hai mere ashkon ke aaine mein aaj kaun hai wo jo muskuraata hai kaun dastak si deta rahta hai kaisa paigham aata jata hai ek gumnam raste ka nishan lamha lamha kise bulata hai kyon ek ajnabi sada pe naz ruh ka har tar jhanjhanata hai sham ka ye udas sannata nahin malum ye dhuan kyon hai dhundalka dekh badhta jata hai dil to khush hai ki jalta jata hai