saqi sharab de ki election hai aaj-kal barsenge wote jis mein wo sawan hai aaj-kal jamhuriyat ke panw mein jhanjan hai aaj-kal ye mulk us ke nach ka aangan hai aaj-kal sauda hai leaderi ka jo dil ko satae hai dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jae hai lo ho gaya hai unt election ka be-nakel ab lath chalenge jalson mein aabaad honge jail phir leaderon ki hogi akhadon mein rel-pel woton ki har dukan pe hogi grand sale woton se badh ke ab koi hathiyar bhi nahin ladte hain aur hath mein talwar bhi nahin zinda hai wo ki jis ka register mein nam hai aur zindagi sharifon ke upar haram hai hain jis ke pas wote madar-ul-maham hai laila-e-leaderi ki wo thame lagam hai leader ke munh pe shahar ke kuchon ki gard hai ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard hai waqt aa gaya zamir ki bai-o-kharid ka import ke licence ke wade-waid ka din hai biradri o qabail ki id ka aapas mein gallabanon ki guft-o-shunid ka muslim ko be-shak aisi musawat chahiye aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye danggal ki kashtiyon mein har ek chiz hai rawa yani milegi millat-e-asi ko har dawa naghme ka daur, daur-e-mai-o-raqs ka maza jis ko zaban kah na sake us se bhi siwa likkha hua hai qismat-e-ummid-war mein udti phiregi khak teri ku-e-yar mein ahl-e-basirat ab nahin dekhenge khot ko hasil karenge lakh tariqon se wote ko pani hi ki tarah se bahaenge note ko rokengi zar ki dhaal pe dushman ki chot ko woter ko bakhsha jaega bhaari mushahra phir jit ki khushi mein karenge mushaera aaenge wote dene ko jab jahilan-e-qaum un ko dikhae jaenge pahle nishan-e-qaum gainda nishan rakkhega ek pahlawan-e-qaum hai unt koi koi yake-az-kharan-e-qaum insaniyat ki qaid se sab ho gae bari un ka muaalija ho to hoga weterinary