kachchi diwar se girti hui mitti ki tarah kanp kanp uthta hai barbaad-e-mohabbat ka wajud hasraten sut ke dhagon ki tarah nazuk hain dard ki kaudiyan kis tarah bandhengi in mein kaun ghutnon mein liye sar ko akela tanha roz rota hai muradon ke hasin mandap mein kitni viran hai ujde hue khwabon ki munder bhuli-bisri hui yaadon ke papihe chup hain hae kya sham thi wo sham wo dehat ki sham meri aaankhon mein dhanak jhul gai panghat par aur jab jhum ke alghuza uthaya main ne chandni apna ghada bhul gai panghat par nind ke nashshe mein lahrane lagin matiyaren apni hi banhon mein bil khane lagin matiyarin mere alghuze ki har tan se pighla tera rup mere har git se barsi kabhi chhanw kabhi dhup kaun barson ki bujhi rakh kurede ai dost ganw se dur kisi ajnabi rah-raw ki tarah shab ki tanhai ke jangal mein ghira baitha hun dil mein zakhmon ke sulagte hue kuchh naqsh liye ek dhundla sa tasawwur hai kisi sapne ka warna har lamha-e-sayyal mujhe yaad nahin teri surat to bahut der hui bhul gai ab to apne bhi khat-o-khal mujhe yaad nahin