jab koi kaam na ho tab bhi mujhe sochte rahne ka ek kaam to hai rahat o dard se mabsut koi nam to hai yunhi baitha tha main us nam se wabasta mohabbat ke, udasi ke dariche khole itni chup thi ki khayalat ki chap apna ehsas dilati thi mujhe be-kali hasab-e-talab us ne na mil sakne ki hasb-e-mamul satati thi mujhe aur phir phone ki ghanti khanki teri aawaz ka jharna phuta aur wo nam mujassam ho kar mere atraf mein chakrane laga main ne dekha ki mere kamre mein be-kali aur udasi ka daricha to koi tha hi nahin