ek duniya bade kamal ki hai lamha lamha nae sawal ki hai mah-washon ke jamal ki duniya jazba-e-ittisal ki duniya jhut aur sach ka be-sura sangam ek duniya khayal par qaem jis ko main chhodna agar chahun us se munh modna agar chahun hasraton par zawal aaega harf-e-jaan par sawal aaega ab to chehre yaqin se aage hain mustaqil e'tibar kis ka hai ho gaya kitna facebook ka chalan ji mein aata hai tod dun darpan raushni sath jab nahin deti tirgi mat jab nahin deti aao parchhaiyon se baat karen ungliyan shaghl-e-kaenat karen