bis sadiyon hayula ho tum bis sadiyon ka pur-asrar hayula jis par sirf be-dard hawaon ne zaban pheri thi ab mera hath hai aur hath ki ye zinda hararat shayad tum ko mahsus ho badle hue mausam ki tarah tum ye samjho ki kisi dhup ke tukde ne tumhein roz ki tarah se phir chheda hai ya thaka-manda parinda hai jo aa baitha hai is bulandi se na dekho ki mere hath bhi pathra jaen jhurjhuri le ke ragon ki shakhen ek lamhe ke liye jag uthin lahlahane lagin jaise phir se jud gai hon wo prachin jadon se apni aap apne mein utarti hui chup-chap guphaon mein ghane ped tale khojta rahta hun batlao kahan kho gae ungli ka ishaara pa kar ulti phirti hui chakri ki tarah ye duniya band aankhon mein simat aati hai roz har subh ka akhbar jatata hai ki is dharti par sare dar band hue hath aakash ke raaton ko na utrenge kabhi koi sachchai ke dukh bantne wala bhi nahin ghaar ki aankh se dekho mujh ko apne kandhe pe uthae hue betal ki lash laut aaya hun sambhaalo ye wirasat apni main thaka-manda parinda hi sahi dhan ke khet mein bhaj-kag ki manind khade ho tum bhi chidiyan be-wajh saham jati hain aur bhuki hi palat aati hain chidiyan zinda hain ki bhaj-kag koi kya jaane