shikasta-pa nahin dekho shikasta-ruh bhi hun main mere mafluj hathon ko hayat-e-nau ka ab koi ishaara mat dikha dena meri be-nur aankhon ko nawed-e-khwab-e-ulfat mat suna dena bataya tha ki muddat se mere mazur pairon ne kisi ke sath chalne ki ijazat tak nahin di hai mere tute badan mein zindagi ka ek bhi zarra nahin baqi tumhein to sab bataya tha tumhein zid thi tumhein zid thi mere pairon tale palken bichhaoge tumhein zid thi ki tum meri hatheli par dhadakte dil ko rakkhoge tumhein zid thi ki bujhti ruh par tum zindagi ki aag rakkhoge tumhaari zid ke aage haar mani phir se ek dam todti ummid ke dhagon se zakhmon ko siya khud ko tumhein saunpa magar jo ab ke tuta hai mere tukdon ke tukde hain kabhi bhi jud na paenge agar ye jud bhi jaen to nahin imkan koi ab in mein meri ruh bhi hogi