jagte sote ye khayal aaya tujh ko socha to ye sawal aaya tum kahan aur main kahan jaanan fasle kyun hain darmiyan jaanan yun mile hum ki mil nahin pae phul hasrat ke khil nahin pae barq par nama-bar sawar hua dhup mein abr saya-dar hua phir talluq ke tar tut gae hum pe sadme hazar tut gae bebasi ki ajib sham aai zindagi misl-e-intiqam aai phir teri did ki saadat ho waqt ko id ki bashaarat ho ghair mumkin hai is tarah hona gham nahana hai dagh hai dhona masala aa gaya hai pani ka yani dariya ki be-zabani ka qurbat-e-jaan ke mushk hote hi ek samundar ke khushk hote hi dard-e-sahra nasib hai apna ek wahshat raqib hai apna silsila dur tak sarab ka hai ishq mahi baghair aab ka hai