main teri yaad mein duniya ko bhula baitha hun dida-o-dil teri rahon mein bichha baitha hun tu jo aa jae to mil jae mere dil ko sukun aah main sabr-o-sukun apna luta baitha hun tu samajhti hai ki mayub hai aana tera mera dawa hai ki aana hi padega tujh ko shama bhi jalti hai parwanon ki khatir aakhir azm-e-isar dikhana hi padega tujh ko zindagani ka tawil aur ye dushwar safar bin tere panw mere itna chalenge kaise ye jawani to kisi taur guzar jaegi ahd-e-piri ke shab-o-roz dhalenge kaise tu ye kahti thi ki hamrah chalenge hum tum aisa lagta hai wo dawe tere jazbaati the main samajhta raha jin wadon ko patthar ki lakir ab ye lagta hai wo iqrar bhi lamhati the main bhatakta raha mazi ke andheron mein bahut ab magar haal ko pur-nur banana hoga aaj bahla nahin sakte mujhe khali wade bandishen tujh ko sabhi tod ke aana hoga