barishen phir zaminon se naraaz hain aur samundar sabhi khushk hain khurduri sakht banjar zaminon mein kya boiye aur kya katiye aankh ki os ke chand qatron se kya in zaminon ko sairab kar paoge gandum o jau ke khoshon ki khushbu tumhaara muqaddar nahin aasmanon se tum ko raqabat rahi aur zaminon se tum be-talluq rahe ridh ki ek haddi pe tum ko bahut naz tha ye guman bhi na tha ek din be-lahu ye bhi ho jaegi faisle ki ghadi aa gai kuchh karo titliyon ke sunahre hare surkh nile paron ke liye aankh ki os ke chand qatron se banjar zamin ke kisi goshe mein phul phir se ugane ki koshish karo