tadfin chaar taraf sannate ki diwaren hain aur markaz mein ek taza taza qabr khudi hai koi janaza aane wala hai kuchh aur nahin to aaj shahadat ka kalma sunne ko milega kanon ke ek sadi purane qufl khulenge aaj meri qallash samaat ko aawaz ki daulat arzani hogi diwaron ke sae mein ek bahut bada amboh numayan hota hai jo aahista aahista qabr ki jaanib aata hai in logon ke qadmon ki koi chap nahin hai lab hilte hain lekin harf sada banne se pahle mar jate hain aankhon se aansu jari hain lekin aansu to waise bhi dil o dimagh ke sannaton ki timsalen hote hain mayyat qabr mein utri hai aur hadd-e-nazar tak log bilakte hue dikhai dete hain aur sirf dikhai dete hain aur kan dharo to sannate hi sunai dete hain jab qabr mukammal ho jati hai ek budha jo waqt nazar aata hai apne huliye se hathon mein uthae katba qabr pe jhukta hai jab uthta hai to katbe ka har harf garajne lagta hai ye lauh-e-mazar aawaz ki hai!