ab na zanjir khadakne ki sada aaegi zindan mahkega na ab baad-e-saba aaegi ek ek phul ke murjhae hue chehre par rang bikhrenge na khilta hua mausam koi khar ke sine mein chubhta hua phir gham koi aandhi phir tez hai taron ko bujha de na kahin raat ghanghor hai suraj ko chhupa de na kahin aur ab shola-e-jaan se bhi na utthega dhuan tirgi mein teri sanson ka ujala bhi kahan chashm-e-nargis mein lahu-rang hai shabnam shayad aur sayyaad ka daman bhi to hai nam shayad