gul-e-sahar ki na gesu-e-sham ki khushbu faza faza mein hai tere kalam ki khushbu chaman se kunj-e-qafas tak qafas se dar talak kahan kahan na gai tere nam ki khushbu mataa-e-dast-e-saba ho ki naqsh-e-faryaadi har ek zakhm mein dard-e-awam ki khushbu khanak gai hai jahan tere panw ki zanjir bikhar gai hai wahan ehtiram ki khushbu dil-o-dimagh ko sarshaar kar gai 'maikash' ghazal ke phul se nikli wo jam ki khushbu