gali gali bazar mein ho gai rangon ki bauchhaar aanchal bhige tan man bhiga gal hue gulnar kitni umangen le kar aaya holi ka tyauhaar aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar manzar hue rangile rangon se ghubare bhar kar bachche chadhe atari sabza sabza rang mein duba bhigi dari dari koi na bachne paya un se pandit ho ki pujari aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar manzar hue rangile dhol bajaen gaen naukar hon ki wo byopari dholak ki har thap pe nachen holi mein nar-nari khelen kuden dhum machaen aur mari pichkari aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar manzar hue rangile hindu muslim sikh isai mil kar khelen holi aaj ke din sab bhed mita kar bolen mithi boli sab ne holi ke rangon se dil ki kalak dholi aaya holi ka tyauhaar le ke rangon ki bahaar manzar hue rangile