main ne jo git tere pyar ki khatir likkhe aaj un giton ko bazar mein le aaya hun aaj dukkan pe nilam uthega un ka tu ne jin giton pe rakhi thi mohabbat ki asas aaj chandi ke taraazu mein tulegi har chiz mere afkar meri shairi mera ehsas jo teri zat se mansub the un giton ko muflisi jins banane pe utar aai hai bhuk tere rukh-e-rangin ke fasanon ke ewaz chand ashiya-e-zarurat ki tamannai hai dekh is arsa-e-gah-e-mehnat-o-sarmaya mein mere naghme bhi mere pas nahin rah sakte tere jalwe kisi zardar ki miras sahi tere khake bhi mere pas nahin rah sakte aaj un giton ko bazar mein le aaya hun main ne jo git tere pyar ki khatir likkhe
This is a great rakhi shayari pics. True lovers of zardari shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this mehnat ki kamai shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!