uttho meri duniya ke gharibon ko jaga do kakh-e-umra ke dar o diwar hila do garmao ghulamon ka lahu soz-e-yaqin se kunjishk-e-faromaya ko shahin se lada do sulatani-e-jamhur ka aata hai zamana jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aae mita do jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi us khet ke har khosha-e-gandum ko jala do kyun khaliq o makhluq mein hail rahen parde piran-e-kalisa ko kalisa se utha do haq ra ba-sajude sanaman ra ba-tawafe behtar hai charagh-e-haram-o-dair bujha do main na-khush o be-zar hun marmar ki silon se mere liye mitti ka haram aur bana do tahzib-e-nawi kargah-e-shishagaran hai aadab-e-junun shair-e-mashriq ko sikha do
This is a great sultani shayari. True lovers of sikh shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sajda shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!