us se milna to is tarah kahna tujh se pahle meri nigahon mein koi rup is tarah na utra tha tujh se aabaad hai kharaba-e-dil warna main kis qadar akela tha tere honton pe kohsar ki os tere chehre pe dhup ka jadu teri sanson ki thartharahat mein konpalon ke kunwwar ki khushbu wo kahegi ki in khitabon se aur kis kis pe jal dale hain tum ye kahna ki pesh-e-saghar-e-jam aur sab mittiyon ke pyale hain aisa karna ki ehtiyat ke sath us ke hathon se hath takrana aur agar ho sake to aankhon mein sirf do-chaar ashk bhar lana ishq mein ai mubassirin-e-kiram yahi taknik kaam aati hai aur yahi le ke dub jati hai