ai aab-rud-e-ganga uf ri teri safai ye tera husn dil-kash ye tarz-o-dil-rubai teri tajalliyan hain jalwa-farosh mani tanwir mein hai teri ek shan-e-kibriyai jamuna teri saheli go sath ki hai kheli us mein magar kahan hai teri si jaan-fazai be-laus tera daman hai dagh-e-masiyat se mauzun hai tere qad par malbus-e-parsai dil-band hum hain tere lakht-e-jigar hain tere nakhl-e-murad hai tau aur hum samar hain tere minu-sawad tujh se hain wadiyan hamari aur kisht-e-arzu hai rashk-e-jinan hamari wo din bhi hoga honge jab hum ghariq-e-rahmat aur teri nazr hongi ye haddiyan hamari ganga mein phenk aana baad-e-fana utha kar barbaad ho na mitti o aasman hamari yarab na dafn kar ke ahbab bhul jaen le kar hamare khush khush ganga ko phul jaen o pak naznin o phulon ke gahne wali sarsabz wadiyon ke daman mein bahne wali o naz-afrin o sidq-o-safa ki dewi o iffat-e-mujassam parbat ki rahne wali salle-ala ye teri maujon ka gungunana wahdat ka ye tarana o chup na rahne wali husn-e-ghayur tera hai be-niyaz hasti to bahr-e-marfat hai o pak-baz hasti han tujh ko justuju hai kis bahr-e-be-karan ki hum par to kuchh haqiqat khulti nahin jahan ki ai parda-soz imkan ai jalwa-rez irfan to sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dil-sitan ki kyun jada-e-talab mein phirti kashan kashan hai tujh ko talash hai kis gum-gashta karwan ki jati hai tu kahan ko aati hai tu kahan se dil-bastagi hai tujh ko kis bahr-e-be-nishan se aai nazar tajalli jab shahid azal ki zarron mein ja ke chamki phulon mein ja ke jhalki hindostan hai ek dariya-e-husn-e-qudrat aur us mein pankhudi hai tu khushnuma kanwal ki nikli himaliya se mahw-e-kharosh ho kar tu aah tishna-lab thi wo jalwa-e-azal ki karti hui zamin par moti nisar aai darshan ko aah har ke tu haridwar aai ye josh-e-sabza-e-gul ye teri aab-bari qudrat ke chappe chappe par ye shagufa-kari hindostan ko tu ne jannat-nishan banaya nahren kahan kahan hain tere karam ki jari ai aab-rud-e-ganga maujon mein tere mil kar mauj-e-sarab-e-hasti ho be-nishan hamari baad-e-fana hamare phulon mein bu ho teri gum hon rah-e-talab mein to justuju ho teri aae ajal ki zau par jab apni umr-e-fani aur khatm rafta rafta ho sail-e-zindagani duniya se aah jab ho apni safar ka saman baalin pe aqrban hon sargarm-e-nauha-khwani jab hont khushk hon aur dushwar ho tanaffus ahbab apne munh mein tapkaen tera pani hanste hue jahan se hum shad-kaam jaen duniya se pi ke teri ulfat ka jam jaen