main kahta hun tum se agar sham ko bhul kar bhi kisi ne kabhi koi dhundla sitara na dekha to is par tajjub nahin hai na hoga azal se isi dhab ki paband hai sham ki zahira be-zarar shokh nagin ubharte hue aur lachakte hue aur machalte hue kahti jati hai aao mujhe dekho main ne tumhaare liye ek rangin mahfil jamai hui hai anokha sa aiwan hai har taraf jis mein parde gire hain wahan jo bhi ho us ko koi nahin dekh sakta tahen is ke pardon ki aise lachakti chali jati hain jaise phaili hui sath-e-dariya ne uth kar dhundalke ki manind pinhan kiya ho faza ko nazar se zara dekho chhat par latakte hain fanus apni har ek nim-raushan kiran se sujhate hain ek bhed ki baat ka git jis mein masahri ke aaghosh ki larzishen hon sutunon ke pichhe se aahista aahista rukta hua aur jhijakta hua chor saya yahi kah raha hai wo aae wo aae abhi ek pal mein achanak yunhi jagmagane lagega ye aiwan yaksar har ek chiz kaise qarine se rakhi hui hai main kahti hun mano chalo aao mahfil saji hai tum aao to gunj utthe shahnai dalan mein aane jaane ki aahat se hangama paida ho lekin masahri ke aaghosh ki larzishon mein tumhein is ka ehsas bhi hone pae to zimma hai mera azal se is dhab ki paband hai mauj-e-betab us ko khabar bhi na hogi ki ek shakh-e-nazuk ne bebak jhonke se takra ke aahen bhari thin magar main ye kahta hun tum se agar shad ko bhul kar bhi kisi ne kabhi koi dhundla sitara na dekha to us par tajjub nahin hai azal se isi dhab ki paband hai sham ki shokh nagin ye dasti hai daste hue kahti jati hai jao agar tum jhijakte rahoge to har lamha yaksan rawish se guzar jaega aur tum dekhte hi rahoge akele akele tumhein daen baen tumhein samne kuchh dikhai na dega faqat sard diwaren hansti rahengi magar un ka hansna bhi aahista aahista bite zamane ki manind ek dur ki baat malum hone lagega dhundalke mein dubi hui aankh dekhegi rauzan se dur ek sitara nazar aa raha hai magar chhat pe fanus ka koi jhula na hoga shikasta fatada sutunon ki manind farsh-e-hazin par tumhaara wo saya tadapta rahega jise ye tamanna thi kah dun tamanna kya thi bas ab apni ghamnak baaton ko apne ubharte hue aur badalte hue rang mein tu chhupa le main ab manta hun ki tu ne rawani mein apni bahut dur rauzan se dhundle sitare bhi dekhe hain lakhon main ab manta hun meri aankh mein ek aansu jhalakta chala ja raha hai tapakta nahin hai main ab manta hun mujhe daen baen mujhe samne kuchh dikhai nahin de raha hai faqat sard diwaren hansti chali ja rahi hain main ab manta hun ki main ne is aiwan ko aaj tak apne khwabon mein dekha hai lekin wahan koi bhi chiz aise qarine se rakkhi nahin hai ki jaise bataya hai tu ne teri ek rangin mahfil saji hai masahri ke aaghosh ki larzishon ka mujhe khwab bhi ab na aaega main apne kanon se kaise sununga wo shahnai ki gunj sindur ka surkh naghma jise sun ke dalan mein aane jaane ki aahat se hangama ho jata hai ek pal ko mujhe to faqat sard diwaren hansti sunai diye ja rahi hain