suno main ne suna hai ye zamin sona ugalti hai bahut zarkhez hai jis chiz ke bhi bij dalen fasl us ki chand din mein lahlahati hai to phir ek kaam karte hain mujhe tum is zamin ke kuchh murabbe do main is mein hath boungi mujhe hairat se mat dekho suno jab main zamin mein hath boungi to is mein anginat hathon ki faslen lahlahaengi phir un hathon mein hum ek ek qalam de kar kahenge wo hamare karb ko jaanen hamare khauf ko likkhen wo ek dar jo hamein jine nahin deta lahu ko munjamid kar ke samundar bich tanha chhod deta hai jo ummidon ki gagar tod deta hai un hathon se kahenge wo hamare dard ko likkhen bata den sari duniya ko hamare khwab be-tabir hain sari duaen aasman ki samt takti hain hamare ghar ke chulhe sard hain bachchon ke chehre zard hain jina hai ek aisi saza-e-ba-mashaqqat jis ke chaudah sal pure hi nahin hote