purane shahar ki viran gali mein jab bhi aadhi raat hoti hai to kutta bhaunkta hai kutta bhaunkta hai ek saya sa ubharta hai mere kamre ke viran taq par rakkhe diye ki lau larazti hai sadak ke ek sire se ajnabi si chap ubharti hai udasi ghar ke darwaze par aa kar bain karti hai aur kutta bhaunkta hai kutta bhaunkta hai nim-shab ko dushmanon ki fauj ki yalghaar se shahzadiyan sab sar barahna bhagti hain aur raja qatl hota hai fasil-e-shahr pe sar kat kar latkae jate hain naya farman jari hota hai aur itaat ke liye sab log jhukte hain zamin par aasman se ek sitara tut girta hai hawa fariyaad karti hai darakhton mein ajab sargoshiyan si hone lagti hain mere kamre ke viran taq par rakkhe diye ki lau larazti hai aur azhdaha nikal kar fakhta ki narm gardan se lipatta hai riwayat hai hamare shahr ki jab bhi musibat aati hai to nim-shab ko azanen gunjti hain log jaanen shahr pe koi qayamat aai hai is shab ghanim-e-shahar ke aage itaat ke liye sab log jhukte hain azan koi nahin deta purane shahr ki viran gali mein ek kutta bhaunkta hai