na phir wo main tha na phir wo tum the na jaane kitni masafaten darmiyan khadi thin us ek lamhe ke aaine par na jaane kitne baras pareshan dhul ki tarah se jame the jinhen rifaqat samajh ke hum donon mutmain the is ek lamhe ke aaine mein jab apne apne naqab ulat kar khud apne chehron ko hum ne dekha to ek lamha wo ek lamhe ka aaina kitni sadiyon kitne hazar milon ki shakl mein darmiyan khada tha na phir wo main tha na phir wo tum the bas ek viran khamosh sahra bas ek viran khamosh sahra