koi ghair-marai si taqat to hogi jilau mein jo le kar har ek ruh-e-tifl-o-jawan ko khamoshi se su-e-falak kuch karti hai akasr koi bap masum bete ko thame dawa de raha hai, har ek sans ke zer-o-bam par nazar hai udhar us ki jaan jism se ja rahi hai magar kuchh nazar bhi na aae, samajh mein na aae abhi khelta tha, abhi dekhta tha abhi to, abhi, han abhi band aankhen hui hain ye dekho labon par, ajab ek masum si muskurahat hai baqi magar koi jumbish nahin hai ramaq zindagi ki na baqi hai koi koi ghair-marai si taqat to hogi, jo aahistagi se chali aati hogi khamoshi se aaghosh mein apni, masum ruhon ko le kar chali jati hogi yaqinan koi ghair-marai si taqat hai warna agar koi marai si taqat jo hoti to nadan insan bahut ghul machata magar ye nizam-e-ilahi badalta nahin hai