ai qatil-e-harf-e-la ai mah-e-qazwin sun tere iqbaal ka marqad charagh-e-asr tha ab taq-e-nisyan mein sajaya ja chuka hai nil ke sahil se le kar ta-ba-khak ka sher ek khwab tha shayad bhulaya ja chuka hai aur hamari lok-danish ka hamare madrason mein dakhila mamnua thahra hai zar-e-khalis lutaya ja raha hai koelon par sakht pahra hai purane mabadon ke taqchon mein gard udti hai gulistan bostan wa bulbul-e-shiraaz bhi yan ajnabi thahre mujhe ab kaun puchhega qatil-e-harf-e-la kaenati ishaariya wahan jo kuchh hua hai raushni mujh ko batati hai yahan jo ho raha hai raushni tum ko bataege magar ye raushni aage bhi jaegi har ek shai ko bil-akhir nur ke sanche mein dhalna hai hamein bhi do qadam is raushni ke sath chalna hai ye musht-e-khak bhi maqdur-bhar to jagmagaegi mashiyyat muskuraegi magar ye raushni aage bhi jaegi