napna sahl nahin hai teri azmat ka firaq qadr karna kisi mahir ki nahin koi mazaq urdu hogi tere ehsan se kyunkar be-baq kah rahe hain gul-o-naghma ke ye zarrin auraq qaumi yak-jehti ka hami to munafi-e-nifaq kya bayan ho tere ausaf-e-hamida ka firaq tere paigham-e-haqiqi se hain labrez asbaq tu hai sultan-e-adab nazm-o-ghazal donon mein taq tu hai yakta-e-zaman is mein nahin koi kalam pesh-e-khidmat hai ba-sad ijz ye 'sufi' ka kalam giyan pith aaj hai shadan tujhe de kar inam aaj shohrat ka teri hai sar-e-aflak maqam