zindagi to nahin tum magar meri jaan zindagi ki tarah ho dubti sham sahil pe koi parinda ude dur manjdhaar mein naw se koi manjhi lagae sada sarsarae hawa koi patta hile koi ghuncha khile yaad aati ho tum aur aisi hi rut mein kabhi man-chali narm-o-nazuk hawa gudgudati to hogi tumhein meri jaan aur ek be-adab sar-phira naujawan yaad aata to hoga tumhein na-gahan mujh ko ehsas hai fasle hain bahut duriyan hain badi manzilen hain kadi phir bhi ai jaan-e-jaan ye to socho zara hum akele bhi ek dusre ke bina ji to lenge magar kya ye jina hua zahr pina hua