huk si uthti hui dil mein numayan dekhna dard-o-kulfat aur jigar mein zakhm-e-khandan dekhna be-baha gham mein mujhe hota pareshan dekhna meri aankhen ashk-zar-e-khun mein giryan dekhna par na mujh se puchhna mere dil-e-mahzun ka haal ham-nashino shaq guzregi ye warna qil-o-qal kyon na mere dil ki be-tabi sharar-angez ho kyon na dil mein maujzan tufan mahshar-khez ho kyon na dagh-e-dil mera pal-pal mein shoala-rez ho kyon na bechaini mere dil ki qayamat-khez ho jab ki tadpae mujhe furqat jitendr nath ki jab ki tadpae mujhe hijrat jitendr nath ki chal gai hai qatil-e-saffak ki go tujh pe ghat hai magar ai das teri maut yaad-e-kaenat jis ke har asrar mein pinhan hai ek raaz-e-hayat daur-e-azadi ki jis mein hain hazaron kaifiyat tere tarz-e-feal se hai be-naqab-e-hurriyat har taraf jalwa-fagan hai aaftab-e-hurriyat teri qurbani mein muzmar hai hayat-e-jawidan jis ne bhar din azm-o-himmat ki dilon mein bijliyan badh gaya shauq-e-shahadat badh gain betabiyan aur aazadi ki lahraenge har-su jhandiyan takhta-e-hindostan par inqilab aane ko hai is gulistan-e-burida mein shabab aane ko hai