nigah-e-shauq mein jalwe jo tere aate hain tajalliyon ke nae taur jagmagate hain talash-e-haq mein jidhar bhi jahan bhi jate hain tere hi naqsh-e-qadam rah-guzar mein pate hain tere jamal se ai banda-e-khuda sabit khuda ke nur se insan banae jate hain kabhi jo dair-o-haram ke qarib tak na gae teri samadhi ke aage wo sar jhukate hain bayan ek tera naqsh ho gaya dil par sunane wale fasane bahut sunate hain ye kis mughanni-e-kaamil ki bazm-e-rangin hai yahan jo aate hain wo naghma-bar aate hain chaman unhi ka ye rang-e-chaman bhi un ka hai jo bijliyon se yahan aashiyan banate hain jahan-e-amn mein talwar chal nahin sakti khuda ke bande magar aazmae jate hain ye bazm-e-rind nahin mahfil-e-tariqat hai yahan hayat ke saghar pilae jate hain main ja raha hun liye ek karwan-e-hayat hazar rahzan-e-hasti mujhe daraate hain jo baj raha hai zamane mein saz tera hai jo ga rahe hain faqat tere git gate hain wo tujh ko aur tera muddaa nahin samjhe tujhe bashar se jo fauq-ul-bashar batate hain jinhon ne chum liye panw teri azmat ke sitare ban ke wo zarre bhi jhilmilate hain charagh-e-rah-e-sadaqat bata kidhar jaen ki manzilon ke andhere hamein bulate hain tere hi faiz se abna-e-nazm-e-nau 'hindi' nai zamin naya aasman banate hain