jaliyan-wala bagh

ai ki tu gahwara-e-shan-e-watan
sajda-gah-e-ahl-e-iman-e-watan

markaz-e-arbab-e-arman-e-watan
azmat-e-khun-e-shahidan-e-watan

jang-e-azadi ki zinda yaadgar
aastan par tere sajde lakh bar

yaad hai wo din hamein ai jaan-e-man
jab adu tujh par hua tha tegh-zan

aur sadha jaan-nisaran-e-watan
tujh pe qurban ho gae dar dam zadan

yaad hai un ke lahu ki ye pukar
aastan par tere sajde lakh bar

yaad hai wo manzar-e-sehn-e-chaman
zist par barq-e-ajal partaw-fagan

waqf nala har fida-e-anjuman
kushton ke pushte the mitti ka kafan

khun-e-abna-e-watan ke lala-zar
aastan par tere sajde lakh bar

aaj hai wo inqalab-e-anjuman
tu hai unwan-e-bahaar-e-anjuman

aur jis ja nasb the dar-o-rasan
ab wahan shadab hain sarw-o-saman

qaum ki ummid ai bagh-o-bahaar
aastan par tere sajde lakh bar

tere chhalni dil ke zakhmon ki jalan
misl-e-shama-e-hurriyat hai zau-fagan

aur wo teri jabin ki har shikan
subh-e-azadi ki hai zarrin kiran

tujh se sharminda hai shahi ka waqar
aastan par tere sajde lakh bar

mazlum ki aawaz hai jaliyan-wala
ek soz bhara saz hai jaliyan-wala

raqsan hai jahan jashn-e-shahadat 'hindi'
wo jalwa-gah-e-naz hai jaliyan-wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close