guru-nanak jise kahte hain wo ek mard-e-kaamil tha ki us ke pas sine mein taqaddus-afrin dil tha wo gunja naghma-e-nahid ban kar aasmanon mein liya jata hai nam us ka muqaddas dastanon mein haqiqat apni manwai haqiqat-ashna ho kar jo uttha ibtida ho kar to baitha intiha ho kar sabaq insaniyat ka dene aaya ibn-e-adam ko taraqqi ki taraf le jaane wala ahl-e-alam ko zamin bhi us ka loha man kar sona ugalti thi ki jis ke dabdabe se charkh ki chhati dahalti thi wo aaya tha mitane ke liye tafriq mazhab ki dam-e-akhir bhi ki jis ne itaat ek hi rab ki wo insan jis ke qadmon par zamana sar jhukana tha tariq-e-guftugu se ghair ko apna banata tha wo rahbar jis ne gumrahon ki aksar peshwai ki bhalai ki hamesha jis ne bhi us se burai ki granthi rag sun kar aadmi bedar hota hai zamane ki nazar mein sahab-e-kirdar hota hai falak bhi tal-bandi ki zamin par naz karta hai ki us ka tair-e-dil arsh par parwaz karta hai guru-nanak ki kam se kam itaat hai kiye hote asar ke motiyon se daman-e-dil bhar liye hote