ai bahaar-e-gang ai sarmaya-e-pakizgi teri hasti tishna-kaamon ke liye mai-khana hai dars-amoz-e-fana hai qatra qatra aab ka ya hababon ki zaban par nara-e-mastana hai tere pahlu mein hai ek doshiza-e-husn-o-jamal jis ki taswir-e-jawani ek sarapa nur hai mauj ek atkheliyon se chhed karti hai wo aankh jo azal se kaif-agin hai nashe mein chur hai talib-e-didar ka bahta hai dil lahron ke sath marifat ka zauq pata hai kanwal ke phul mein har kali ki tah mein saman-e-latafat dekh kar aab ki chadar mein ho jate hain poshida gunah nur ka paikar bana dengi lakiren mauj ki dagh-e-zulmat ko mita degi ye aabi jalwa-gah ghair-mumkin hai ki dil mein raushni paida na ho bulbule pani ke hain insan mein wahdat ki shama sadhuon ke waste updesh hai maujon ka rag hath mein le kar khade hain dewta jannat ki shama teri mauj-e-muztarib hai aur dil-e-pur-josh hai yani betabi mein us ka muddaa mil jaega halqa-e-girdab mein naqsh-e-haqiqat dekh kar ghuncha-e-gul ki tarah dil ka kanwal khil jaega