chaak-e-takhliq par ek jaisi hi aadam ki shaklen banen ruh ki aabiyari bhi yaksan hui be-karan zindagi ki duaen liye kitne shams-o-qamar roz ugne lage sabz chaaragari ke sahife dimaghon ki banjar tahon mein farozan hue mausamon ke jazire zamin ke badan se nikale gae raushni ke zakhire chhupae gae aasman mein kahin phir taffun-zada chand zehnon mein takhrib ki gadgadahat hui be-zamiron ne rabb-e-musawat ke aaine reza-reza kiye sharq aur gharb mein bhains us ki hui jo maishat ki lathi chalane mein ayyar hai phir bhi kuchh sar-phire qir-gun jangalon barf-zaron ki jaanib mashaqqat bhari rasm-e-duniya nibhane chale aae hain un ki baaten musawat ka rup hain un ke sine samawat ke aaine un ke honton pe rang-e-mohabbat ayan un ke hathon mein parcham rahe amn ka