ye meri pahli id hai jis mein tu nahin hai to soch kar tujh ko main teri yaad se mila hun gale wo sukun-bakhsh chhanw khwab hui jo kadi dhup mein mayassar thi teri chhitnar shakhsiyat ke tale dost ahbab rashk karte the teri bharpur parwarish ke tufail hum bahan bhai jis tarah se pale tera ehsan hai ki tu ne hamein ilm-o-irfan se ham-kanar kiya ek dar-e-agahi ko wa kar ke raaz-e-hasti ko aashkar kiya aankh pur-nam hai muzmahil hai dimagh dekh kar tere zauq ka izhaar zard lathi qaraqali topi garm loi kutub ki almari dil pareshan hai dekh kar teri surmai wasket siyah pa-posh jo teri qurbaton mein hasil tha ab kahan id ka wo josh-o-kharosh aisa khush-bakht shakhs hoga koi jis ki aulad us pe naz kare hai dua dil se us jahan mein bhi rab tujhe aur sarfaraaz kare