pas ke shahr se curfew ki be-awaz chap dhire dhire mere shahr ki galiyon aur chaurahon tak aa pahunchi hai raat ki tarah khauf phaila hai darwaze khidkiyan chup kutte bhi chup hirasan dur dur tak sadkon ko takte hain phir rote hain pas ke shahr mein nare ubharte hain ek hi sath jaise dher sare bakron ki gardanon pe dhaar-dar chaqu tairte hain pedon pe chandni september ki sahmi hai tanha parinde ke hira jaise dil mein bille ki lahu lahu aankh dub kar ubharti sannata zamin ka aakash se ja mila hai ghodon ki aag ugati top pas ke shahr mein aur apne shahr mein aa gaya betal petrol-pumpon ke pas khada hai raat ki taraf khauf phaila hai sankal hilata hai chandni september ki pedon pe roti hai bille ki lahu lahu aankh aur parinda bechaara