saf-suthri zaban hindi hai khush-bayani ki jaan hindi hai hindiyon ka nishan hindi hai auj mein aasman hindi hai roz-marra jo bol-chaal ka hai husn wo shokhi-e-khayal ka hai us ke phulon ki tez hai khushbu har taraf mushk-rez hai khushbu waqai itr-bez hai khushbu ishrat-e-mauj-khez hai khushbu shakl kaisi hasin hai is ki brij-bhasha zamin hai is ki kya milansar hai mizaj is ka sulh-jui hai kaam-kaj is ka sare sansar mein hai raj is ka sikka baitha hua hai aaj is ka marhati kuchh hai kuchh hai punjabi hai fasahat mein nutq-e-aarabi farsi ki sughad saheli hai aur turki ke sath kheli hai jo pasand aai chiz le li hai chistan hai kahin paheli hai lal-qile mein begmati thi sath shahzadiyon ke jati thi des-bhar ki ye ek hai bani hinduni hai na ye musalmani bol sakte hain is ko irani sikh sakte hain sab ba-asani kuchh mili hain jo un se saughaten leadiyon se hain raat-din baaten kis qadar bol-chaal hai sada 'sur' 'tulsi' the is ke dil-dada kaif-za hai ye surat-e-baada pi raha tha 'kabir' aazada 'ras' 'bihaari' the gul-fishan is mein ab hain 'kaifi' se khush-bayan is mein